Search this Blog

Loading

Monday, August 29, 2011

Adhoori baatein..


Jitni ye teri khamoshi badti hai,
Utni hi teri baatein yaad aati hain,
Jitni tu mujhse door jaati hai,
Utni hi teri yaadein mujhe sathathi hain..

Har din saath raha karte the,
Ab bas yaadein reh gayi,
Cheezen hazaron kehni thi tumse,
Ab wo sab baatein reh gayi..

Har din tujhe betaabi se doondha hai,
Har pal teri yaad mein roya hai,
Kaash tumse ek baar main mil paata,
Ab tak jo kaha na, woh sab keh paata...

No comments:

Post a Comment