Search this Blog

Loading

Sunday, May 24, 2009

All I want is a friend...


Doonda nahi kabhi ek saathi ko,
Paana nahi chaha kisi ke pyaar ko,
Jaroorat thi to sirf ek dost ki,
Jo door kar sake is tanhayi ko...

My Companions...


Lehron ke aksar aane jaane par bhi,
Ye kinara akelepan mein dooba hua hai,
Lakhon taaron ke hone par bhi,
Ye chaand tanhayi se ghera hua hai,
Charan taraf roshini hote hui bhi,
Ye zindagi andhere mein khoyi hui hai,
Itne saare logon ke beech rehte hue bhi,
Main rehta hoon wo chaand aur kinaren jaise hi…

Kabhi na...


Kabhi na jaana,
Ki aisa bhi koi dost ban sakta hai,
Kabhi na maana,
Ki koi itna paas bhi aa sakta hai,
Kabhi na samjha
Ki ek dost bhi itna khaas ho sakta hai,
Kabhi na socha,
ki us dosti ke tootne par itna dard bhi ho sakta hai…

Will you seize the moment?


Kabhi aata hai zindagi mein aisa bhi ek pal,
Jab tumare ek galati se mil sakti ho kushi,
Ek pal jisme tum ji sakte ho poori zindagi,
Us pal mein ho saken tumara sapna sach,
Aisa pal jo tumare intezaar ka jawab ho,
Tumara barson ke kwaab ho,
Par us galati se is pal ko zindagi bar pachtaoge,
Ye jaanke bhi kya tum us galati ko kar paaoge?

Lost... Myself...


Itni badi bheed mein,
Kaise main doondh paaunga,
Itne saare logon ke beech,
Kaise main pehchaan paaunga,
Itne shor sharabe mein,
Kaise sunn paaunga,
Apne aap ko… Apne dil ki awaaz ko…

Kuch Kwaab...


Kuch kwaab aise hote hain,
Jo apne poori zindagi ko badal sakte hain,
Kuch kwaab aise hote hain,
Jo apne zindagi ko kushiyon se bhar sakte hain,
Kuch kwaab aise hote hain,
Jo hume apne aap se pehchaan dilate hain,
Kuch kwaab aise hote hain,
Jo hume hi badal dete hain,
Kuch kwaab aise hote hain,
Jinke tootne ke darr se hum kuch nahi kar paate,
Kuch kwaab aise hote hain,
Jo hume aur bhi kwaab dikhate hain,
Kuch kwaab aise hote hain,
Jo kabhi poori nahi hote hain,
Aur kuch kwaab aise hote hain,
Jo kwaab rehkar hi achayi karte hain…

Sometimes...


Kabhi kabhi kisi se jhoot bolna padta hai,
Kisi ki khushi cheenni padti hai,
Kisi ka dil thodna padta hai,
Khudke chahton ko bhoolna padta hai,
Apne kwaabon ko bhi maarna padta hai,
Kyun ki, kuch achcha karne ke liye,
Kabhi kabhi, kuch bhura bhi karna padta hai…

All it takes is just one action...


Ek boondh paani,
Sagar ko bhar sakta hai,
Ek choti khadam,
Manzil paas la sakti hai,
Ek halki muskaan,
Ek pal ko badal sakti hai,
Ek khuli hasi,
Maahol badal sakti hai,
Ek choti si aansu,
Kahin baatein samjha sakti hai,
Ek pyar bhara shabd,
Dil ko badal sakta hai,
Ek choti si madat,
Zindagi badal sakti hai,
Ek choti soch,
Poori duniya badal sakti hai…

Waiting...


Mere zindagi ke pannon ko uske liye bachake rakha hai,
Dono ke saath hone ke kwaab sajake rakha hai,
In palkon mein sundar sa ek sapna chupake rakha hai,
Dil mein mere, ek mahal banake rakha hai,
Is intezaar ki ghadi na jaane kab khatam hogi,
Us mahal ki rani na jaane kab mujhe milegi,
Un sapnon ko haqeqat mein na jaane kaun badlegi,
Mere zindagi ka hissa na jaane kab koi banegi…

Alone...


Your leaving has left within me emptiness,
A void, a vacuum, a feeling of loneliness.
Try as I might to fill this hole,
To be normal, to be whole,
Blamed someone else for not being true,
Hoping that they could somehow replace you,
I was searching for something that wasn’t there,
Trying to make something that could compare,
Everything I did was out of despair,
Coz I couldn’t bear my pain or hold back my tear,
I wish whatever happened could be undone,
Coz your place within me can be taken by none…

Deafening Silence...


Is sannathe mein itna shor hai,
Ke dil ki cheekh ko bhi dooba saken,
Teri is khamoshi mein itna zor hai,
Kisi veer ke bhi dil ko thod saken,
Na jaane tume chup rehna kyun manzoor hai,
Isse hue dard ko tum nahi dekh sake,
Ise sehane ke liye dil mera kamzor hai,
Kaash is baat ko tum samaj sake…

Mixed One...


Dil to mera tootha hai,
Isme koi shakh hi nahi,
Rone ka wajah poochte ho,
As if tume miss karne ka hukh hi nai,
Tumare saath waqt guzaarna chahta hoon,
Par iskeliye mera luck hi nahi,
Chahta hoon ki tum samjho is care ko,
Kyunki dosti sirf zubaanse kehne tak hi nahi!

Saturday, May 23, 2009

No Use...


Khabar na lena ka matlab,
Fikra hi poori tarah se chodna nahi…
Bas hum jaan gayen hain ye baat,
Ki fikra dikhane ka koi faida nahi!

The truth...


Naan kirukum kavithaigalai,
Anubhavaithu ezhuthuvadhuillai,
Athanal athil irukum aazhathai,
Naane pala nerum arivathillai…

My first attempt in Tamil...


Imaigalin intha velaiyatu,
Kangalake theriyavillai,
Manasaku intha porattam,
Kadhal endru puriyavillai!

Kya hua?


Aaj phir us akelepan ka ehsaas hua,
Tere saath na hone ka aabhaas hua,
Purane yaadonse dil behaalsa hua,
Par abhi tak samaj na paaya ki kya hua...

Fight...


Tumari is khamoshi ko seh nahi sakta,
Tumari ruswayi ko bardash nahi kar sakta,
Tumpe gussa karke rooth nahi sakta,
Kyunki tumse baat kiye bina reh nahi sakta…

Not Possible...

In aankhom mein bina khoyen,
Koi bachch nahi sakta,
Is hasi se dil na ruken,
Itna kaabo ho nahi sakta,
Is khubsurati ko na pehchaane,
Itna andha koi ho nahi sakta,
Tume jaanke tumse pyaar na Karen,
Aise to ho hi nahi sakta!